People who are crazy enough to think they can change the world are the ones who do. -Apple
Your subscription could not be saved. Please try again.
Your subscription to raagabox has been successful.

A sample of other songs in raagabox lyrics * 4 *

Afreen Afreen
Lyricist: Javed Akhtar
Tag: other
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Coke-Studio-Season-9-Episode-2/Afreen-Afreen/CVsKeDoGYVk
Video:
Aisa dekha naheen khoob-soorat koyi
Jism jaise ajanta ki moorat koyi
Jism jaise nigaahon pah jaadu koyi
Jism naghmah koyi
Jism khush-bu koyi

Jism jaise mahakti hui chandani
Jism jaise machalti hui raagini
Jism jaise kih khilta hua ik chaman
Jism jaise kih sooraj ki pahli kiran
Jism tarsha huwa dil-kash o dil-nisheen

Sandaleen sandaleen
Marmareen marmareen

Husn e jaanaan ki tareef mumkin nahi (x2)
Afreen afreen
Afreen afreen
Tu bhi dekhe agar to kahe ham-nisheen
Afreen afreen
Afreen afreen
Husn e jaanaan ki tareef mumkin nahi (x2)

Jaane kaise baandhe tu ne akhiyon ke dor
Man mera khincha chala aaya teri or
Mere chehre ke subh zulfon ki shaam
Mera sab kuchh hai piya ab se tere naam
Nazron ne teri chhuwa
To hai yih jaadu hua
Hone lagi hoon main haseen

Aafreen Aafreen Aafreen

Chehra ik phool ki tarh shaadaab hai
Chehra us ka hai ya koyi mahtaab hai
Chehra jaise ghazal chehra jaan-I ghazal
Chehra jaise kali chehra jaise kanwal
Chehra jaise tasawwur bhi tasweer bhi

Chehra ik khaab bhi chehra taa’beer bhi
Chehra koyi alf lailawi daastaan
Chehra ik pal yaqeen chehra ik pal gumaan
Chehra jaisa ke chehra kaheen bhi nahi
Maah-ru maah-ru mah-jabeen mah-jabeen

Husn e jaanaan ki tareef mumkin nahi (x2)
Afreen afreen
Afreen afreen
Tu bhi dekhe agar to kahe ham-nisheen
Afreen afreen
Afreen afreen
Husn e jaanaan ki tareef mumkin nahi (x2)

Aafreen aafreen
Aafreen aafreen
Aafreen
Ghoom Tana
Music: Salman Ahmad
Tag: other
Audio: https://www.saavn.com/s/song/urdu/Coke-Studio-Season-10-Episode-6/Ghoom-Taana/RiENAS1UGnE
Video:
Tanha Aise Kyoon Bechain Phire
Jaagen Ge Zaroor Ye Bhaag Tere
Koi Jane Na Yeh Josh Tera
Koi Jane Na Junoon Tera,

Ghoom Taana Taana-naa-naana
Ghoom Taana-na (x4)

Tanha Aise Kyoon Bechain Fire
Jaagenge Zaroor Yeh Bhaag Tere
Koyi Jaane Nah Yeh Josh Tera
Koyi Jaane Nah Junoon Tera

Ghoom Tana Tana-na-nana
Ghoom Tana-na -x4.

Dil Se Dilon Ko Jeetna
Mushkil Se Na Darna
Rang Barse Ga Yahaan
Din Ho Ya Phir Raina,

Ghoom Taana Taana-naa-naana
Ghoom Taana-na (x4)

Badi Door Hai Abhi Jaana
Mayoos Na Kabhi Hona

Andhere Men Bhi
Viraane Men Bhi
Khile Gi Koyi Kali

Tanha Aise Kyoon Bechain Phire
Jaagen Ge Zaroor Ye Bhaag Tere
Koi Jane Na Yeh Josh Tera
Koi Jane Na Junoon Tera,

Tu Hi Mera Pyaar Hai
Kaise Jaane Log (x2)

Kya Kabhi Mumkin Nahi Sanjog,

Ghoom Tana Tana-na-nana
Ghoom Tana-na (x4)

Jogiya Ve Sun Meri Baat (x4)
Muntazir
Music: Strings
Lyricist: Strings
Tag: other
Audio: https://www.saavn.com/s/song/urdu/Coke-Studio-Season-10-Episode-1/Muntazir/MzAuCAZHRXE
Video:
Main yahaan hoon muntazir
Tum wahaan ho bekhabar

Main yahaan hoon muntazir
Tum wahaan ho bekhabar

Aur halke halke se mann chahe
Manga jisko woh mil jaaye

Yeh raat tham jaye sau saal ko
Aur ek ho jaayen hum tum

Main yahan hoon muntazir
Tum wahan ho bekhabar

Aur halke halke se mann chahe
Manga jisko woh mil jaye

Yeh raat tham jaye sau saal ko
Aur ek ho jaye hum tum

Door se aati hai pariyan
Sunati hai ik kahani mujhe baar baar

Main yahan pe agar
Woh wahan pe kare tera intezaar
Ab maano nahi haar

Socho na chal padho
Jao na, na daro
Jaante ho tum uske dil ka raaz

Shayad ghabrayegi woh na keh payegi woh
Tum na darr na piche hatna
Keh dena dil ki haal

Main yahan hoon muntazir
Tum wahan ho bekhabar

Aur halke halke se mann chahe
Manga jisko woh mil jaye

Yeh raah tham jaye sau saal ko
Aur ek ho jaye hum tum
Ho yeh raah tham jaye sau saal ko
Aur ek ho jaye hum tum
Teri Baaho Me Jo Sukoon Tha
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Ek-Villain/Awari/CVk,Ax9cVEU
teri baaho me jo sakoon tha mila
maine dhuda bahut tha
phir na milaa

duniya chhuna chaahe mujhko yun
jaisay unki saari ki saari main
duniya dekhe roop mera
koi na jaane bechari main

haaye tooti saari ki saari main
tere ishq me hoi awari main
haaye tooti saari ki saari main
tere ishq me hoi awari main

koi shaam bulaaye
koi daam lagaaye
main bhi upar se hansti
par andar se haaye
kyo dard chupaye baithi hai
kyo tu mujhse kahti hai
main khud hi bikhra huaa

haaye andar andar se toota main
tere ishq me khud hi se rootha main
haaye andar andar se toota main
tere ishq me khud hi se rootha main

main jee bharke ro lu
teri baaho me so lu
aa phir se mujhe mill
main tujhse ye bolu
tu anmol thi
pal pal bolti thi
aisi chup tu laga ke gayi
saari khushiya kha ke gayi

haaye andar andar se toota main
tere ishq me khud hi se rootha main
haaye teri hu saari ki saari main
ho tere liye na saari main